Friday, April 6, 2012

STORY OF 16 MID SEMS PREPARATIONS


yaar...india me rahne ka yahi to faayda hai
mahavir jayanti bhi chutti,good friday bhi chutti...
saturday,sunday to apna hai hi....

but these long break suddenly begin to bore you when all rooms of ur wing is locked except urs...
everyone is basking in their home and i am blogging here like a fool...
mera ghar bhi aaspaas hota to maza aa jata....
i shud have gone to kharagpur....mere school ke saare dost to wahan hi hai...
ghar kitna najdik padta..
6-7 ghante me ghar aa jaate....
nahi yaar.....kharagpur ke aaspas to koi bhi ghumne ki koi jagah nahi hai...
roorkee mast hai....charo taraf hi tourist spots...mussorie,nainital,shimla,amritsar,dehradun,haridwar,rishikesh,landsdown,jammu..


what am i doing now....
no wonder..this blogging idea comes to my mind only when i am utterly bored...
ok..ok...now let me come to the point...

this blog is going to be about my preparation on eve of midsems ...
I would have loved to call this post as '9 inch someone' thus making it the sequel to my story '9 point someone' published in college magzine kshitij ... but you know.....i am not that vulgar :P


date: 1st april 2012
time: 9 PM
venue: G 158 Ravindra bhawan (which,btw,happens to be my room ...except for the
fact that it turns out to be a common room during egg-jam days)

me : yaar ..mere room ki na ..'before xam' & 'after xam' ki photo leni chahiye...aur telebrand
show ko bhej dena chahiye......

(imitating the foreign accent dubbed sound as shown in telebrand show)
pehle mera bed idhar hua karta tha...lekin exam k baad to iski what lag chuki hai.....main takreeban 3 saal se is room me rah raha hun..maine apne room ki haalat aisi kabhi nahi dekhi...ye waakai bahut khatarnak drishya hai....kafi wahiyaat harkat ki hai mere doston ne...nisandeh...mere doston to beshak isse bahut faayda hua hai...

chintu : kuch to padh le be....kal tere piche hi baith raha hun main to...

jaiswal: chintan ...aisa hai ki mujhe baithne de iske piche...
main tere ko dikha dunga.....

me: saale...main kya answer aasmaan se tapkaunga saalon....bhaskar ko mere aage bithao to baat banegi...nhi to sab gaand marate rah jaana

katiyar : bhaskar to ultimate demand me chal raha hai....koteshwar,baba sab
uske piche baith rahe hain....

alok : chup rah saale.... koteshwar scene me kab se aa gaya..
jindagi me kabhi cheating kiya hoga?

jaiswal : abe likh k le le....bhaskar ka 1 word copy nahi kar paaega saala...cheating karne
chala hai...saala 1st yr me yaad hai..tute dene se mana karta tha...bolta tha ..khud se karo aaj usko yahi baat bol na...aaj kyon fati uski..

me: aaj uski isliye fati kyonki der saver sabko realise ho hi jaata hai...
sangathan me shakti hai...akele me phat-ti hai...

katiyar : hrishikesh...tu hi padh le..... sab ko padha dena...
khud ko aaye na aaye...dusron ko to tu padha hi deta hai...
chahe sahi ya galat.... apna to 1 hi universal teacher hai...

(bhaskar & garg enters the rum)

chintu: kyon be bhaskar....gaddari kar diya saale...kya sunne me aa raha hai...kaun baith raha hai tere piche...

jaiswal: dekh ..sidhi si baat ye hai ki koteshwar cheating karne se raha...
baba khud to kar lega lekin...piche dikha nahi paaega...
ab hrishikesh tera to copy kar hi lega....aur mujhe bhi dikha dega...chintu ,garg, alok ko main dikha dunga...
1 saath tu 5 logon ka bhala karega...

bhaskar : saala....electric drives ka abc nhi pata...aur number 25 out of 30...

me: main to bolta hi hun...mere se jyada sylaabus to xerox wale ko pata hai...

alok : to fir aaj ki sabha yahin samapt hoti hai....conclusion ye nikla hai ki
kal chaap lena hai pura...

garg (watching hot song): mid sem ki aisi ki taisi...
kya bolta hai hrishikesh...hyderabad me apan 5 6 mahine karenge job....fir chalte hain amsterdam ghoomne...

me: idea bura nahi hai jack....sabkoi apna apna passport ready rakho....
agle summer me 1 saath chalenge europe ghumne sab...bhaskar..tu bhi iim chod ke aa jaiyo...


bhaskar : yaar ...mujhe foriegner se shaadi karni hai yaar...

me: saala...1 baar jo alphanso aam chus le....wo desi maalda ko kya hi bhav dega

jaiswal : yaar mujhe nikalte hi shaadi karni hai yaar...

me: control kar jaiswal...5 6 saal to azaadi se rah le...

jaiswal : nhi yaar....jitni jaldi ho jaaye..utna achcha...

garg: abe to ghar me bol de na...ho jaaegi shaadi

jaiswal: abe aisa kar na...tu log hi mere ghar phone kar k meri mummy ko convince kar na..
kuch bhi story bana dena...ki jaiswal ladki k chakkar me pad gaya hai..to usko sudhaarne
k liye uski shaadi jaldi karwa dijiye..

bhaskar: seriously?

jaiswal : haan be...but papa phone uthaye to kaat diyo..nhi to what laga denge...
bullet kharida hai papa ko bina bataye...petrol ka paisa bhi nahi maang sakta papa se..
gate rank bhi hrishikesh ka hi suna diya saala...99 percentile....
papa bhi khush.

me (dialing number): pakka na?

jaiswal: haan be...daaru nahi piya hun...

me: hello auntie...namaste.. main ashish ka dost bol raha hun....hrishikesh...1 ladki aajkal uske chakkar me pad gayi hai....wo jaiswal ko baar baar shaadi karne k liye bolti hai....isse jaiswal thoda unstable ho gaya hai...padhai bhi thik se nahi ho rahi uski...
to jyaada achcha hoga agar aap uski shaadi jald se jald kar de....matlab samajh rahi hai na..kya kahna chah raha hun....

auntie: beta...april fool to nahi bana rahe ho ?

me: nhi nhi..ekdum serious.....1 aur ladke ke saath bhi aisa hi hua tha.....shuru me ladki use bahut pareshan karti thi...baad me ladka bhi deviate hone lag gaya padhai se....is liye...ye sab hone se pahle hi agar aap usse is baare me baat kar le to jyada achcha rahega..

auntie : thik hai..main baat karti hun usse..

(cut the phone)

bhaskar: behanchod..hrishikesh...tu consultant ban ja be...kya ye software ke chakkar me pada hai...itna mast to consultancy karta hai......

me: 1st job offer to consultancy wala hi hai be bhaskar ...5 july ko joining hai bangalore me ..bol to wahi wala job accept kar loon kya...tu bhi iimb me padhte padhte saath me job kariyo...

garg : abe shant baith..mere saath chal hyderabad...fir wahin se europe chalenge..

bhaskar : agar ye plan successful ho jaaye to mere ghar bhi
call karna be.....foriegner ladki se shaadi ke liye convince karna mere mummy ko

jaiswal: abe yaar...ghar se phone aa gaya....fatne lagi yaar....

(goes outside the room)

(15 min. later...jaiswal re enters the room)

garg: kya hua be...jaiswal....

jaiswal: bhak bhonsadi walon..meri le li yaar papa ne...puchne lage..ladki ka kya naam hai....pura janam kundali le ke baith gaye

me : kya bola fir tu?

jaiswal: bol diya...padmini agarwal..mechanical ki hai...

chintu : bada wala lol ho gaya ye to.... saala...history me pehli baar aisa hua hoga ki bande ka koi affair na ho...fir bhi banda ghar me bata raha hai ki mera affair hai

bhaskar : ye bata..kisi tarah shaadi pe baat laya ki nahi..

jaiswal: abe papa bol rahe the....beta pehle IAS nikaal lo...fir ye sab chakkar me padna..
what laga di yaar...bol rahe the mera naam mat dubaana...society me naak mat katana ...
saala pasha ulta hi pad gaya...

garg: le li be ..le li....ha ha....aur convince karo ...

me : abe koi nahi ......ghar phone kar...fir se achche se convince kar...maan jaaye to well & gud...
nhi maane to plan B hai hi apna....12 bajne me 1 ghanta hai abhi.... bol dena happy april fool.....humlog bhi piche se chilla denge...kissa khatam ..
(everybody nods in agreement)
to bhai bhaskar....call karun kya tere ghar ? totally free service de raha hun....bas xam me kal dikha diyo....

(apoorva enters the room)

apoorva : abe koi transient wala part padha do...

me: le ..ye bhi nahi aata.... ab to chullu bhar transformer oil me dub maro....dekh..jab heating constant continuous duty cycle pe nikalega to usme slope jyada hoga kyonki continuously heat supply on hai  ...usse cooling rate to zero rahega hi...jiske karan motor ....

apoorva :  kya kya kya....

me: nhi samjha na?  jab mere ko nhi samajh me aaya to tere ko kahan se samjhaun?
  dekh xam me 2 cheez hamesha yaad rakh...1). if u can't convince examiner,confuse them.....saaala...frustiya k 1 2 number to de hi dega..  2). chaapte time ....agar koi cheez  padh nhi pa rahe ho...to uski painting bana do......bas ye 2 cheez yaad rakh...IIT se degree mil jaaegi...








-----------------------------------------------

No comments:

Post a Comment